Is Kahani Mein Mera Kya Kaam Love Shayari

Is kahani mein mera kya kaam
Jab jab dekhun tujhe, bhool jaata hoon kehna Sita Ram
Jiske liye likh raha hoon
Koi batao usko mera dil kitna hai nadaan,

Dekh kar usko har chehra lagta hai aam
Mohabbat mein raha hoon har baar mein naakaam
Tu ho jaaye meri to ban jaaye saare kaam
Warna is kahani mein mera kya kaam

Sharab lage feeki aur asar na kare bhang
Subah karun pooja, teri aarti utaarun har shaam
Chahat bas itni si hai ke bhar doon teri maang
Warna is kahani mein mera kya kaam

Kamre mein teri tasveer lagaoon
Aur dekhun use subah shaam
Faansi ka fanda toot jaata hai
Jab bhi dene jaata hoon jaan
Tu na mili to is kahani mein mera kya kaam

Kab tak chhupaun tasveerein teri
Kab tak batau tujhe anjaan
Kab padogi khat mere
Jo likhta hoon tere naam

Kholne hain dhaage mujhe jo baandhe the tere naam
Har chauraha aur gali lagti hai sunsaan
Intezaar mein tere ek umr gawaayi hai
Ab jaldi aaja meri jaan

Tum aaogi jis din, us din bataunga in logon ko
Jo udaate hain mera mazaak aur karte hain mujhe badnaam

Dar lagta hai mujhe bichhadne se
Jab dikhte hain Radha Shyam
Isiliye karta hoon prarthna Ishwar se
Aur kehta hoon Sita Ram

Agar tu na mili to is kahani mein mera kya kaam
Phir bhool jaunga kehna Radhe Shyam aur Sita Ram

Thanks for Reading. Yahaan aapko milengi dil se likhi gayi woh love shayari jo seedha aapke jazbaat bayaan karti hain. Har lafz mein chhupi hai ek kahani — pyaar, dard, intezaar, yaad aur mohabbat ki. Aap in Shayariyon ko apne partner ke saath share karke apne dil ki baat un tak asaani se pahucha sakte hain. Chahe naya pyaar ho ya purani yaadein, har lamhe ke liye kuch khaas milega. Yeh sirf Shayari nahi, dil ki awaaz hai. Apne rishte mein ek nayi rooh bharne ke liye in alfaazon ko zaroor apnaayiye.

Related Posts

Best Love Shayari in Hindi 2025

आज छोड़ कर गया है समुंदर नापनेकभी तो किनारे पे आएगातोड़ कर मेरा दिल जिसके साथ खुश हैतू भी एक दिन धोका खाएगा सितारों की चाहत नहीं हमने चाँद गवाया…

Tum Kya Jaano Pyaar Mera – Bewafa Shayari

Tum kabhi baithe nahi paas to kya jaanoge,Kitna pyaar karta hoon tumse yeh kaise maanoge.Tumhe fursat nahi do paise kamaane se,Mere pyaar ki keemat ko kaise jaanoge. Tumhare khwaab bade…

One thought on “Is Kahani Mein Mera Kya Kaam Love Shayari

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *