Is kahani mein mera kya kaam
Jab jab dekhun tujhe, bhool jaata hoon kehna Sita Ram
Jiske liye likh raha hoon
Koi batao usko mera dil kitna hai nadaan,
Dekh kar usko har chehra lagta hai aam
Mohabbat mein raha hoon har baar mein naakaam
Tu ho jaaye meri to ban jaaye saare kaam
Warna is kahani mein mera kya kaam
Sharab lage feeki aur asar na kare bhang
Subah karun pooja, teri aarti utaarun har shaam
Chahat bas itni si hai ke bhar doon teri maang
Warna is kahani mein mera kya kaam
Kamre mein teri tasveer lagaoon
Aur dekhun use subah shaam
Faansi ka fanda toot jaata hai
Jab bhi dene jaata hoon jaan
Tu na mili to is kahani mein mera kya kaam
Kab tak chhupaun tasveerein teri
Kab tak batau tujhe anjaan
Kab padogi khat mere
Jo likhta hoon tere naam
Kholne hain dhaage mujhe jo baandhe the tere naam
Har chauraha aur gali lagti hai sunsaan
Intezaar mein tere ek umr gawaayi hai
Ab jaldi aaja meri jaan
Tum aaogi jis din, us din bataunga in logon ko
Jo udaate hain mera mazaak aur karte hain mujhe badnaam
Dar lagta hai mujhe bichhadne se
Jab dikhte hain Radha Shyam
Isiliye karta hoon prarthna Ishwar se
Aur kehta hoon Sita Ram
Agar tu na mili to is kahani mein mera kya kaam
Phir bhool jaunga kehna Radhe Shyam aur Sita Ram
Thanks for Reading. Yahaan aapko milengi dil se likhi gayi woh love shayari jo seedha aapke jazbaat bayaan karti hain. Har lafz mein chhupi hai ek kahani — pyaar, dard, intezaar, yaad aur mohabbat ki. Aap in Shayariyon ko apne partner ke saath share karke apne dil ki baat un tak asaani se pahucha sakte hain. Chahe naya pyaar ho ya purani yaadein, har lamhe ke liye kuch khaas milega. Yeh sirf Shayari nahi, dil ki awaaz hai. Apne rishte mein ek nayi rooh bharne ke liye in alfaazon ko zaroor apnaayiye.

